Saturday, September 13, 2014

PARVEEN SHAKIR

Phir pukaara hai muhabbat ne humein kya keejay
Dee sada husn ki jannat ne humein kya keejay
Jis ke saaye se bhi aksar humein dar lagta thaa
Choo liya phir ussi hasrat ne humein kya keejay

Hum ne jazbaat se daaman ko bacha rakha hai
Raakh ke dhair mein shouloon ko daba rakha hai...

Raas aaye na kabhi pyar ke halaat humein
Dil ki is khail mein har baar huwi maat humein
Kya kahenge kahaan jaayenge kidhar jaayenge
De gaee jab bhi zara dard yeh mulaqaat humein

Bas issi soch ne deewaana bana rakha hai
Raakh ke dhair mein shouloon ko daba rakha hai...

Hum ne socha tu bahut kuch thaa huwa kuch bhi nahee
Dil tu be-taab thaa dilbar ne kaha kuch bhi nahee
Khud se shikwa hai humein hum bhi tu kuch keh na sake
Un ki yaadoon ki qasam un se gilla kuch bhi nahee

Sharm ka pardah nigahoon mein rakha hai
Raakh ke dhair mein shouloon ko daba rakha hai...

Hogaee un se muhabbat ki hansi bahut huwi
Aisa lagta hai ke weerane mein barsaat huwi
Apne hi aap se anjaan bane phirtay thay
Un se mil kar hi kaheen khud se mulaqaat huwi

Warne hum ne tu yunhi khud ko bhula rakha thaa
Raakh ke dhair mein shouloon ko daba rakha hai...

Hum ne jo khwaab sajaaye woh humein maar gaye
Hum ne is paar rahe aur na us paar gaye
Bad-naseebi ka yeh aalam na kisi per guzray
Do qadam per hi thee manzil per qadam haar gaye

No comments:

Post a Comment

When you look at various woman